Kah diya majaak me humne unse-
'Bahut pareshaan karti ho hame, tumhari yah shikayat karenge.'
Sunte hi naaraaj ho gaye or kahne lage wo-
'Agar hain pareshaani hum tumhari, to phir kabhi pareshaan na karenge.'
'Agar hain pareshaani hum tumhari, to phir kabhi pareshaan na karenge.'
To kah diya hamne unse-
Chehra agar ho saamne tera-
To ye aankhen kabhi band na ho,
Agar jannat ka naam hai pareshaani-
To pareshaani bhala kise pasand na ho?
Jaankar ki hum 'shayari' ke sath 'chitrakari' bhi karte hain,
'Lagta hai aashiq ho' kahne lage humse wo,
Badle me in hotho ne bhi kah diye alfaaz do-
Aap humko aashiq bulaate ho,
Are,hame to dil lagana bhi nahi aata.
Ye to khuda ki rahmat hai hum par ki-
Kalam pakadte hi tasveer ban jaati hai,
Varna hame to kalam chalana bhi nahi aata.

No comments:
Post a Comment